Tuesday, January 8, 2008

Pranshu's lovely poem

Meri dhoop ho tum,
haan wohi sardi kee narm see
gudgudane walee
haath lagao to ud jane walee
door se bhee garmaane walee
meri dhoop ho tum.

Door jo tum chali jati ho
jane kyun sab andhera sa ho jata hai.
Tumhare narm haathon ka woh ahsaas
lekin saat samundar paar bhee mere
kapkanpate haathon ko garmaa jata hai
Aisi meri dhoop ho tum.

Baadlon ke peeche kabhi jo chup jati ho.
Fir gaalon pe mere hanste hue
jo tum apnaa reshmi haath sehlaati ho
Aur shokh ho jaate hain mere dil ke yeh rang
aisi khoobsoorti unmein jagaati ho tum.

Door na mujhse tum kabhi jana
duniya ke is andhere se akele
mumkin nahi hai lad paana.
le chalna bas .. jaise har baar ek pari ki tarah
haath mera thaam ke sapno ke desh mein
le jaati ho tum.

Gudgudaate
Jagmagati
Khilkhilaati
Meri Dhoop

ho tum...........

No comments: